Friday 1 July 2016

Peer E kamil Part 7

Salma na Apni beti ka  hatho ma gift paper ma lipta hova packet ko harangi  sa dekha .

“ Ya kya ha Imama ?” Tum to market gye thi . Shayad kuch kitabiaa lani thi  tumhaii .”

“ Han Ami ! Mujy kitabiaa hi lani thi , magr kisi ko gift dana ka lya “



“ Kis ko gift dana ha ?”

“ Wo Lahore ma dost ma meri , is ki birthday ha , usi ka lya kharideee ha , currior service sa bhaj do gi kyo ka mujy  to abi yaha rahna ha “.

“ Layo phir mujy do ya packet , ma waseem ko doo gi , wo bhaj da ga “

“ Nahi ami , ma abi nahi bajoo gi “….abi is ki birthday ki date nahi aye .” Salma ko laga jasa wo ghab-ra gye ho , unha harangi hoi  . Kya ya ghabrana wali bat thi ?

3 saal pehla Imama ki vaja sa inha bohot  zayada parashani ka samna karna para . Unha our un ki  husband Hashim ko . Wo tab apni beti ka baray ma bohot fikar mand thi  , our Hashim in sa zayada , Magr pichla 4 saloo ma sab kuch theak ho gya tha . Wo dono ab is ki tarf sa bilkul fikar mand nahi tha khasss tor par asjad sa is ka  rishtahh kar ka .

Wo janti thi ka Imama Asjad ko pasand karti  ha our sirf wohi nahi , Asjad ko koi be pasand kar sakta tha .

Wo harr lihaz sa aik acha larka tha , our wo ya be janti thi ka  Asjad sa rishtaww hona parr wo kafi khush thi .Asjad our is ka darmayan pehla sa kafi achi  dosti  thi , Magr kafi dfa unha aisa lagta ka waqt ka sath wo chup hoti ja rahi  ha . Wo pehla aise  nahi thi .

“ Mgr ab wo school jana wali bachi to nahi rahi . Medical college ki student ha ….. phir waqt be kaha hota ha is ka pass , Salma hamesha khud ko ya kahh kar smjhati rehti .“
Wo in ki saab sa choti beti thi . Bari dono  beatiooo  ki shadi ho chuki thi , wo aik beta ki shadi be kar chukka tha , jab  ka  abi 2 beto our Imama ki shadi nahi hoi thi .

“ Acha ha Sanjida ( serious ) hoti ja rahi ha , Larkioo ka lya sanjadi-gii achi hoti ha , unha jitni jaldi apni zima-dariyoo ka ehsaas ho gye utna hi acha hota ha “ Salma na aik sans lata hova  Imama sa apni nazriaa hata lee . wo chutio ma ghr  aye hoi thi . Our wo jitna din yaha rehti un ki nazraii issi par rehti .

“ Pta nahi ya asjad khaa rahh gya ha , jo be kam is ka zi-maaa  lagayo bas bhool hi gyo “ Inha achanaq apna mulazim ka khayal aya  , jis  ka picha wo bahir lawn ma aye thi ….


Continue……

No comments: