Wednesday 13 July 2016

PEER E KAMIL PART 11

Gulf club ma ina-mat ki taq-seem  jari thi .16 sala Salar be under saklain ki catagary ma seven under par ka score ka sath pehli  position ki trophy wasool karna ka lya mojod tha . Sikandar Usman na Salar Sikandar ka naam lya jana par taliyann bajata hova is trophy ka baray ma socha , jis  ma is saal unha kuch mazeed tab-deeliya karnii pari thi . Salar ko milna wali shields our trophies ki tadad is saal be pichla saal  jasi hi thi . In Ka taman bacha hi zaheen tha magar Salar Sikandar baqi saab sa alag tha . 


Trophies , Shields our Certificates ka mamla ma wo Sikandar Usman ka baqi bachooo sa bohot aagy tha . 100 IQ  level ka hamil is bacha ka muqbala karna in ma sa kisi ka lya mumkin tha be nahi.
Fakher-iya andaz ma taliya bajata hova Sikandar Usman na apna sath bethi hoi apni biwi sa kaha “ Ya Golf ma is ki 13vi our is  saal ki 4th trophy ha “

“ Harr chez ka hisab rakhta ho tum “ Is ki biwi na muskrat hova  apna shohar sa kha jis ki nazraii is waqt meh-mana khasosi sa trophy wasool karta hova Salar pr thi.”

“ Sirf Gulf ka our kyo , wo tum achi tarha janti ho “ Sikandar na apni biwi ko dakha jo ab seat ki tarf jata Salar ko dakh rahi thi .

“ I bet ! agr ya is waqt is muqabla ma shirkat karna wala professional players ka sath khail raha hota to be is waqt is ka hath ma yahi trophy hoti . Sikandar na apna beta ko dorr sa dakhta hova kuch fakher-iya andaz ma dawa kya .Salar ab apni seat ka sath mojod baqi seats par mojod dosra ianamat  hasil karna walo sa hath milana ma masroof tha .In ki biwi ko Sikandar ki dawa par koi harangi nahi  hoi kyo ka wo janti thi  ka Salar ka baray ma ya us ka bap ka jazbati jumla nahi tha . Wo sach ma hi ghair-mamoli tha .

Isa 2 hafta pehla apna Bhai Zubair ka sath isi Gulf course pr 18   hoal par khaila jana wala Gulf ka match yad aa gya .Rough ma ikafaqan girr jana wali aik ball ko jis safaaiii our maharat ka sath wapis green par laya tha , Is na zubair ko herat ma daal dya tha .Wo pehli bar Salar ka sath Gulf khail rha  tha .” Mujy yaqeen nahi aa raha “ 18 hoal ka khat-ma tk kisi ko be yad nahi tha ka is nay a jumla kitni bar bola tha .

Rough  sa khailee jana wali shoat na agr isa herat ma daal dya tha to Salar Sikandar ka Putters na isa dam-bakhud kr dya tha . Ball ko hoal ma jata hova is na club ka sahara khara khara sirf gardannn morr kar ankon hi ankhonn ma is na Salar our us hoal ka darmayan fasla ko mapa tha our phir jasa be-yaqeene sa sarr-hilata hova is na Salar ko dekha tha .

“ Aj salar sahb acha nahi  khail raha “ Zubair na be-yaqeeni  sa murr kar apna pichay khara kadiiii ko dekha jo Gulf Cart pakra Salar ko dakhta hova bar-bra raha tha .

“ Abi ya acha nahi khail raha “ Zubair na kuch ajeeb andaz ma club ka kadiiiii ko dekha .
“Han sahb …. Warna ball kabi rough ma na jati .Kadii  na bra mamoli andaz ma unha bataya .
“Ap aj yaha pehli bar khail raha hain our Salar sahb pichla 7 saal say aha khail raha ha . Ma is lya kahh raha ho ka aj wo acha nahi khail raha “.

“ Kadii na Zubair ka knowledge ma izafa kya our zubair na apni behan ko fakhriya andaz ma dekha jo muskara rahi thi .

“Agli bar ma puri tayari ka  sath ayo ga our agli bar khail ki jagha ka in-takhab be ma hi kro ga “  
Zubair na apni behan ka sath Salar ki tarf jata hova kha .

“ Any time any place “ unho na apna beta ki tarf sa apna bhai ko pora yaqeen ka sath challenge karta hova kha .” Ma tuma is week aik TA our DA ka sath Karachi bulwana chahta ho . Unha na Salar ka qareeb ponch kar halka phulka andaz ma kha.

Salar muskraya.

“ Kis lya……..?”

“ Mera behalf sa tuma Karachi chamber of commerence ka sadar ka sath aik match khailna ha .
Ma is bar is sa elections  ma hara ho mgr agr wo kisi sa Gulf ka match harr gya to isa heart attack ho gye ga  wo be aik bacha ka hatho  so lets settle the scores “  wo apna bhai ki bat par hansi thi .Magr Salar ka chehra par kuch ajeeb sa baalllll par gye tha .


“ Bacha ?” Is na in jumloo ma sa is lafz pr zoor data hova kha .” Mera khayal ha uncle mujy kal ap ka sath 18 holl ka aik our match karna pra ga “.

No comments: