PEER E KAMIL
PART 3…..
Miss smanthor
rithedas na dosri row ma kharkhi
ka sath pehli kursi par betha hova us larka ko chothi ( 4 ) bar ghora . wo
is waqt be bari be-nayazi sa kharkhi ( window) sa bahir dakhna ma masroof
tha . waqtan fa-waqtan wo bahir sa nazria ghumata . aik nazar miss ko dakhta .
us ka bad phir usi tarha bahir dakhna lagta.
Islamabad ka aik ghair-mulki school ma wo aj pehla din iss
class ma bilogy parhana ka lya aye thi .
wo aik diplomait ki biwi thi our kuch din pehla apna sohahar ka sath Islamabad
aye thi.Teaching in ka profession tha our jis jis mulak ma un ka sohahar ki posting hoi wo wha sifarat-khana sa munsalik schools ma parhati rahi .
Apna sa pehla biology parhana wali teacher ki sceme of
work ko hi jari rakhta hova unho na
class ka sath kuch introduction our guftago ka bad dil our nizama khoonn ki diagram writing board pr banata hova isa
samjhana shoro kya .
Diagram ki wazahat karta hova unho na is larka ko kharkee
(window ) sa bahir jan-kta hova dakha .purani technique ka istamal karta hova
unho na apni nazraii is larka par markooz rakhta hova achanaq bolna band kar
dya .class ma yaqdam khamoshi chaaa gye. Is larka na sar ghuma ka andar dakha
.miss sa is ki nazraii mili . miss muskraye our
aik bar phir unho na apna lecture shoro kr dya .
Kuch dair tk unho na isi tarha bolta hova apni nazraii is
larka parr rakhi jo ab apna samna pri notebook pr ab kuch likhna ma masroof tha , is ka bad miss na apni tawajo class ma mojod dosra students pr markooz ki .In ka khayal tha ka wo kafi
sharminda ho chukka ha , dobara bahir nhi dakha
ga magar sirf do minute ka bad
unho na is larka ko kharkee ka bahir matwajo dakha .wo phir bolta bolta khamosh
ho gye .is larka na phir gardan morr kar
in ki tarf dakha , is bar miss muskraye nhi balka qadra sanjed-gi sa isa
dakhta hova aik bar phir lecture shoro kr dya . Chand lahma guzarna ka bad unha
na writing board ko dakhna ka bad dobara is larka ko dakha to wo aik bar phir kharkee sa bahir dakhna ma masroof tha . is dfa miss kuch naraz hoi
our khamosh hoi our in ka khamosh hota hi is larka na
kharkee ka bahir sa apni nazriaa hataaa
kr in ki tarf dakha , is bar is larka ka
mathaa pr b kuch ajeeb sa tasurr tha , aik nazar miss ko na-guwari sa dakh kr wo aik bar phir kharkee sa bahir
dakhna lga .
Is ka andaz is qadar toheen-amaz tha ka miss ka chehra lal ho gya .
Salar tum kya dakh rha ho ? unho na sakhti sa pocha .
“nothing …..” yuk
lafzi jawab aya . wo ab chubti hoi nazro sa inha dakh rha tha .
“tuma pta ha ma kya parha rahi ho ?”
“Hope so “ , is na itna rodd andaz ma kha ka
miss na yak-dam hath ma pakra hova marker cap sa band kr ka table par
phank dya .
“ ya bat ha to phir yaha ayo our ya diagram bana kar is ko
label kro “ . unho na writing borad ko saaf karta hova kha . baqi larko ka
chehro pr kayeee rang aye . unho na class ma betha hova students ko aapas ma nazro ka tabadla karta hova dakha .
wo larka ab sard nazro ka sath miss ko dakh raha tha , jasa hi unho na writing
board sa aakhri nishan saaf kya , wo
apni kursi sa aik jathka ka sath utha .tez qadmo ka sath us ka table par pra
hova marker uthaya our tezi sa writing
board par diagram banana lag pra .
Pora 2 minute 57 second ka bad is na marker par cap laga kar isa meazzz parr
isi andaz ma uchala , jis andaz ma miss na uchala tha our miss ki tarf dakha
bagir wo kursi parr aa ka beth gya .Miss na isa marker uchalta ya apni kursi ki tarf jata hova nhi dakha .
Wo be-yaqeeni ka alam ma writing board pr 3 minute sa be kam
waqt ma banaye jana wali labeled diagram
ko dakh rahi thi jisa banana ma
unho na 10 minute kyat ha our wo in ki diagram sa zayada achi thi .wo kahi be
mamoli si ghalti be nahi dhoond saki .
Unho na phir us larka ki tarf dakha wo phir kharkee sa bahir
dakh raha tha ……….
No comments:
Post a Comment