Peer e Kamil
Part 2
Moiez dard sa tarap raha tha our us ka dono hath pait parr
tha .
(downlod link available at end)
Is ka samna khara 12 sala larka na
apni phati hoi shirt sa apni naak sa behta hova khoon saaf kya our hath
ma pakra hova tenis recket aik bar phir
pori taqat sa moiez ki tang par mara .Moiez ka mohh sa aik barr phir cheekh
nikli our us na kuch be-yaqeeni ka alam
ma khud sa 2 saal chota bhai ko dakha jo ab kisi lihaz ka isa racket sa peet raha
tha jo moiez kuch dair pehla isa peetna ka lya laya tha .
Is hafta ma ya in dono ka darmayan hona wala 3sra jaghra tha
our 3no bar jaghra shoro karna wala is ka chota bhai tha . moiez our is ka
taluqat hamesha sa acha nhi tha .
In ka jaghra bachpan sa la kar ab sa kuch pehla tak sirf
zubani kalami bato our dhamkioo tk hi mehdood rehta tha magar ab kuch arsa sa
dono hatha payee par be utar aye tha .
Aj be yahi hova tha , wo dono school sa ikhatha wapis aye
tha our gari sa utharta hova is ka chota bhai
na bari buri tarha sa apna bag us
waqt dikee sa nikala jab moiez apna bag nikal raha tha . Bag khanchta hova
moiez ka hath ko buri tarha ragar aye .
“ tum andha ho chukka ho “
Wo sakoon sa apna bag uthaye , be nayazi sa anadr jar aha
tha , moiez ka chilana par is na palat kar is ko dakha our darvaza khool kar
andar chala gya .Moiez ka tan badan ma to jasa aag lag gye , wo tez daqmo ka
sath is ka picha andar chala gya .
“agr dubara tum na aise harkat ki to ma tumhara hath toor do
ga “ , is ka qareeb ponchta hova moiez
aik bar phir chilaya. Is na bag kandha sa utar kar niche rakh dya our dono hath qamar par rakh kar khara ho gya
.
“nikalo ga ….. tum kya kro
ga b….. hath toor do ga ? …. Itni himmat haa ?”
Ya ma tumha us waqt batayo ga jab tm dobara ya harkat kro ga
.moiez apna karma ki tarf barha .
Magr is ka bhai na pori taqat sa is ka bag khanchta hova is
rukna par majboor kar dya .
“ nhi tum mjy abi batayo “ . is na moiez ka bag utha ka door phank dya .
moiez ka chehra lal ho gya is na zameen par pra apna bhai ka bag utha kar dorr uchal dya . Aik lamha
intazar kya bagair is ka bhai na moiez ki tang par pori taqat sa thokhar mari .
Jawaban Is na pori
taqat sa chota bhai ka mooh pr mukaa mara jo is ki naaak par lga .agla
hi lamha is ki naak sa khoon nikalna lga .itna shaded hamla ka bad be is ka mohh sa koi awaz nhi nikli
.Is na moiez ki taiee khanchta hova is ka gala dabana ki koshish ki .moiez na jawaban is ki shirt ko calour sa kancha , isa shirt phatna ki awaaz
aye .is na pori taqat sa apna chota bhai ka pait ma muka mara , is ka bhai ka
hath sa is ki taeee nikal gye .
“ thehroo ma ab tuma tumhara hath torr kar dikhata ho “
moiez na isa galii data hova aik tarf pra recket ko utha lya our apna chota bhai ko marna ki
koshish ki lakin
Agla hi lamha recket is ka chota bhai ka hath ma tha .is na
pori taqat sa ghuma kar itni tezi ka
sath is recket ko moiez ka pait par mara
ka wo sambhal ya khud ko bacha nahi saka . is na yaka bad is ki tang our
is ka pait par recket barsa dya .
Andar sa in dono ka
bara bhai gusa ka sath bahir aa gya .
“Kya taqleef ha tum dono ko “ ghar ma aata hi hangama shoro kar data ho . iss ko dakta hi chota bhai na utha hova
recket niche kar lya tha .
Our tum ….. tumha sharam nahi aati apna bara bhai ko marta
ho .is ki nazraai ab is ka hath ma pakra recket pr gye .
“ nhi aati “ is na bra dheet andaz ma kahta hova recket
aik tarf uchal dya our bari be-khofi
sa kuch fasla par pra hova apna bag utha kar andar jana lga .
Moiez na buland awaz ma sheh-reaa charta hova apna chota
bhai sa kha
“ tuma is ka anjam bhughat-na pra ga “ wo apni tang sehlaa
raha tha .
“ sure why not “ aik ajeeb si muskharahat ka sath
sehh-riyooo ka aakhri siraa parr ruk kar is na moiez sa kha “ agli dfa tum bat
la kar aana …. Tenis recket sa kuch maza
nahi aaya …. Tumhari koi hadi nahi tooti …. Moiez ko ya sun kar gusa aaya .
“Tum apni naaak sambhalo … wo yaqeenan toot gye ha “
Moiez gusa kaa alam ma sehh-riyo ko dakhta rha, jaha kuch dair pehla wo khara tha
…..
DOWNLOAD
No comments:
Post a Comment