PART 6 .....
Flumiya France apna hath ma pakra packet maizz par rakhta
hova ,aik nazar hall ma dakha , paper shoro hona ma abi 10 minute baqi tha our
hall ma mojod students notes , kitabiaa , notebooks pakra tezi tezi sa saf-ha
aagy peecha karta in par aakhri nazar daal raha tha .
In ki harkato sa in ki parashani ka andaza lagaya ja sakta
tha .Phir in ki nazar hall ka darmayn ma
betha Salar pa ja ruki .25 students ma
is waqt wo wahid student tha jo sakoon sa apni kursi par tang par tang rakh ka
betha hova tha . Aik hath ma scale pakra Aa-hista aa-hista sa apna joota par
marta hova wo sakoon sa idhar udhar dakh raha tha .Miss ka lya ya scene be naya
nahi tha .Apna 7 sala carrer ma unho na papers ka doran Salar ko isi be-fikri
our la-parh-vahi ka muzahra karta paya tha .
9 baj kar 2 minute par unho na Salar ka pass sa Guzarta hova
isa Mcq’s par mushtamil aik objective paper dya , 30 minute ka bad unha ya
paper is sa la lana tha .
9 baj kar 10 minute par unho na salar ko apni kursi sa
uth-ta hova dakha . Isa ka khara hota hi haal ma mojod sara students na sarr
utha kar isa dakha . Wo paper hath ma lya miss ki tarf ja raha tha. Miss ka lya
ya be naya scene nahi tha . Wo pehla be
ya sab kuch dakhti aye thi .
30 minute ka paper 8 minute ma hallll kar ka wo in ka sarr
par khara tha.
“ Paper ko dobara dakh lo “ . Unho na ya jumla is sa nahi
kha . Wo janti thi ka is ka jawab kya ho ga .
“ Ma dakh chukka ho “ .
Our agr wo isa aik bar phir paper dakhna par majboor karti
to wo hamesha ki tarha paper la ja kar apni kursi par rakh kar bazoo seenaa par
lapaait kar bath jata . Unha yad nahi tha ka kabi is na in ka kahna parr paper
check kya ho . Our wo ya tasleem karti thi ka usa is ki zurrorat be nahi thi.Is
ka paper ma kisi aik bhi ghalti ko dhundna bohot mushkil tha .
“ Unho na halki si mus-kharahat ka sath paper is ka hath sa
pakra “
“ Tum janta ho Salar !! meri zindgi ki sabb sa bari tamana
kya ha ?” Unho na paper par nazar dalta hova
kha : “ ka ma tumha 30 minute ka paper …… 30 minute ka bad ….. submit
karvata hova dakho “.
Wo in ki batoo par
muskraya .
“ Ap ki ya khawaishh
is surat ma puri ho sakti ha agr ma ya paper 100 saal ki umer ma hall
karna betho “
“ Nahi mera khayal ha 100 saal ki umer ma tum ya paper 10 minute ma kro ga “
“ Is bar wo hansa our wapis murr gya . Miss na aik nazar is
ka paper ka saf-hat ko ulat pulat kar ka dakha . Aik mamoli si nazar unha ya batana ka lya kafi
thi ka wo is paper ma kitna number loss kra ga …… ZERO…”
Continue ….
No comments:
Post a Comment