PEER E KAMIL PART 10
Dono aik bar phir khamoshh tha . Asjad ko ul-jhan hona lagi
. Imama itna khamosh nahi thi jitni wo is ka samna ho jati thi . Pichla aadha
ghanta ma is na ghinti ( kuch ) ka lafz hi bola tha .
Wo isa bachpan sa
janta tha . wo bohot khush-mijaj thi . In ka rishta ho jana ka bad be kuch
saloo tak is ma koi tabdeeli nahi aye thi .Asjad ko is sa bat kar ka
khushi mehsoos hoti thi. Wo balla ki
hazir jawab thi . Lakin pichla kuch saloo sa wo yak-dan badal gye thi our medical college
ma ja kar to ya tab-deeli our be zayada
mehsoos hona lagi thi.Asjad ko bazz dafa ya mehsoos hota ka wo is sa bat karta
waqt kafi mohh-tat hoti ha . Kabi
kabi wo uljhi hoi mehsoos hoti ha
. isa aisa lagta jasa wo is sa chut-kara paa kar , is ka pass sa uth kar chali
jana chahti ha .
Is waqt be wo aisa hi mehsoos kar raha tha .
“ Ma kayeee bar
sochta ho ka ma wasa hi yaha aa kar ghalti karta ho ……. Tumha to is sa farak hi
ni parta ho ga ka ma ayo ya na ayo . “ Asjad
na kaha . wo is ka samna bethi , door boundry wall kar charhii beall ko
dekh rahi thi . Asjad ki shakayat par is na gardhan hilaye bagir nazraii
beall sa hata kar Asjad ki tarf kar liii . Asjad na
sawa-liaa nazro sa isa dekha , magar wo khamoash rahi to us na lafzo ma kuch tabdeeli kar ka apna
sawal dobara kya .
“ tumha mera na aana sa koi farak nahi para ga Imama ……………
kyo theak kahh raha ho na main?”
“Ab ma kya kahh sakti ho is par ? “
“Tum kam az kam inkar to kar sakti ho na is par , meri bat
ko ghalat be to kahh sakti ho na ka aise bat nahi ha , ma ghalat soch raha ho
our ……..”
“ Aise bat nahi ha , ap ghalat soch raha ha “ . Imama na is
ki bat kat di .
“Kis bat sa ap aisa
mehsoos karta ha “ ? Is Bar Pehli bar Asjad ko is ki aawaz ma narazgi mehsoos
hoi .
“Bohot si batoo
sa………. Tum meri kisi bat ka sahi tarha
sa jawab nahi dati …”
“ Halaka ma ap ki harr bat ka sahi tarha sa jawab dana ki
pori koshish karti ho …………. Lakin agr ap ko mera jawab pasand na aye to ma kya
kar sakti ho “.
“ Asjad ko is bar wo
bat karta hova kuch naraz mehsoos hoi “
“Ma na ya kab kaha ka
mujy tumhara jawab pasand nahi aye . Ma to sirf ya kahh raha ho ka meri harr
bat ka jawab ma tmhara pass ……… haan our nahi ka ilawa kuch nahi hota . Aksar
mujy aisa lagta ha ka ma khud sa batiaa kar raha hoo .
“ Agr ap mujj sa pocha ga
ka tum theek ho ? to is ka jawab
ma haan ya nahi ma hi doo gi , haan ya
nahi ka ilawa is ka jawab kisi taqreer sa dya ja sakta ha to ap wo mujy da dain , ma wo kar do gi . Wo bilkul
serious thi.
“ Haan our nahi ka sath be to kuch kaha ja sakta ha na …..
our kuch nahi to tum jawaban mera hall hi poch sakti ho “
“ Ma ap ka kya hall pocho “ Zahir ha , ap mera ghr aye ha ,
mera samna betha ha , mujjj sa batiaa kar raha ha , to is ka
matlab to yahi banta ha ka ap theak ha , warna ap is waqt apna ghr apna bister
parr para hota .
“ya formality hoti ha! Imama………..!”
“ Araa ap janta ha ma formalities par yaqeen nahi rakhti .
Ap be mujj sa mera hall na pocha
kra , ma bilkul be mind nahi kro gi “
Asjad jasa la-jawab ho gya .
“ theak ha formalities ko choro …. Banda koi our bat kar
lata ha . Kuch discuss kar lata ha , APni masrofiyat ka baray ma hi kuch bata
data ha “
“ Asjad ma ap sa kya discuss kro …….. Ap business karta ha .
Ma medical ki student ho ………. Ap sa ma kya pocho …….. stock market ki position
………? Trend bullish tha ya index ma kitna
points ka izafa hova ya agla consignment kaha bej raha ha ? is bar govt na ap
ko kitni rebeait di , is ka lehja ab be itna hi sard tha , ya ap sa anatomy discuss kro , bypass pass
surgery ma is saal kon si nayee
technique istamal ki gye ha . Dil ki
dharkan bahal karna ka lya kitna sa kitna volt ka electric shock dya ja sakta
ha .To hum dono ki masrofiyat to ya ha , ab in ka bara ma discussion kar ka hum
muhabbat ki kon si manzi-laa tahh kar
la ga . Wo meri samaj sa bahir ha
.
Asjad ka chehra lal ho gya . Wo ab is lamha ko tarass raha
tha jab is na Imama si shakayat kit hi
“ Our be masrofiyat hoti ha insan ki “ Asjad na kamzorr
lehja ma kaha .
“ Nahi parhayee ka
ilawa meri to our koi masrofiayt nahi ha
“ Imama na sarr hilata hova kaha .
“ Pehla to hum dono aapass ma bohot bataii karta tha .”
Imama na is ki bat kat di .
“ Pehla ki bat choro … ab ma waqt zaya karna afford nahi kar
sakti . Herat mujy ap parr ho rahi ha .
Ap business ma ho kar itni immature our emotional soch rakhta ha . Ap ko
khud bohot practical hona chahye “ .
Asjad kuch bol na saka .
“Hum dono ka darmayan jo rishtahh ha wo hum dono janta ha . Ab
agr ap meri practical soch ko narazgi samja to ma kya kar sakti ho. Ma ap ka sath yaha
beth-ti ho to is ka matlab yahi ha ka ma
is rishtahh ko ahmiyat dati hon , warna koi
aj-nabi to is tarha mera sath beth kar tea nahi pee sakta “ Wo aik lamha
ka lya ruki .”
Our jaha tak is bat ka talaq ha ka ap ka aana ya na anaa sa mujy
koi farak para ga ya nahi , haqeeqat yahi ha ka hum dono bohot zayada masroof
rehta ha , hum modern age ki paida-war ha
, na ma koi heer ho jo ap ka lya ghee ki chorii la ja kar ghantoo ap ki
bansori sunti raho gi our na ap ranjha ka qabeela sa talaq rakhta ha ka mera lya ya kam karta raha . Sach
yahi ha ka farq waqiee nahi parta
ka hum mila ya na mila , bataii kara ya na kra , humara rishtaww wohi raha ga jo ab ha ya ap ko lagta ha is ma
koi tab-deeli aa sakti ha ?”
Agr asjad ka matha parr paseena nahi aaya tha to is ki wahid
vja December ka maheena tha , In dono ki umer ma 8 saal ka faraq tha lakin
pehli bar asjad ko ya farq 18 saal ka mehsoos ho raha tha .Wo isa apna sa 18
saal bari lag rahi thi .wo 2 hafta pehla 19 saal ki hoi thi lakin asjad ko lag raha tha jasa wo teen age sa direct borhi
umer ma chali gye ha our wo khud aik bar phir pre-teen ma aa gya tha . Wo is ka samna , tang par
tang rakha , Asjad ka chehra par nazraii
jamayee is ka jawab ki muntazir thi . Asjad na kursi ka bazo parr rakha hova is
ka hath ma man-gani ( engagement ) ki ring to dakha our apna gala saaf karna ki
koshish ki .
“Tum bilkul theak kahh rahi ho ? Ma sirf is lya discussion
ki bat kar raha tha ka hamara darmayn
understanding develop ho saka “
“ Asjad ! ma ap ko bohot achi tarha janti our samajti ho our
ya jan kar mujy afsoos hova ka hamara darmayan abi be understanding ki
zurrrorat ha . Mera khayal tha ka hamara
darmayan achi khashi understanding ha “
“ Wo asjad ka din nahi tha “ asjad na is bat ko mannn lya .
“Our agr apko lagta ha ka anatomy our business ko discuss
kar ka hum koi understanding develop kar la ga to theak ha , ainda hum yahi
discuss kar lya kra ga “
“Tum ko meri bat buri lagi “
“ Bilkul be nahi …..
ma kyo bura manoo gi ?” is ka lehja ma mojod herat na asjad ko mazeed sharminda
kar kar dya “
“ Shayd ma na ghalat bat ki “ ”shayad nahi … yaqee-nan. Is
na 3no lafzo par bari bari zorr data hova kha .
“ Tum janti ho … mera nazdeeq ya rishtahh kitna important ha
. Mera bohot sa khawab ha . Is rishtaw ka hawala sa “ Asjad na aik gehraa sanss
lata hova kaha . Imama ba-tasur chehra
ka sath bail ko dakh rahi thi .
“ Shayad is lya ma
zurrorat sa zayada hasas hota ja raha ho
our yak-dam hi isa aik bar ya
mehsoos hona lga ka jasa wo yaha mojod
nahi thi .Is ki bat nahi sunn rahi thi . ASJAD ko lga wo aik bar phir khud sa
bataii kar raha tha .
No comments:
Post a Comment