Sunday 3 July 2016

Peer E Kamil Part 9

Wo pichla  aadha ( half) ghanta sa kamran ko video game khalta dakh raha tha .
screen par mojod Score ma koi khaasss izafa nahi ho raha tha, shayad is ki vja mushkil track tha  jis par Kamran ko car drive karni thi.Salar aik sofa par betha apni note book par kuch likhna ma masroof tha .magar thori thori dair bad nazar utha kar  TV svreen ko be dakh raha tha  jaha Kamran apni koshish karna ka masroof tha  .

Theak 30 minute bad us na note book band kar ka samna pari tabel par rakh di . Phir mohh par hath rakh ka jamaye (yawn) roki .Dono tangen samna pari tabel par rakh kar dono hatho ki ungliya sarrr ka pichay bandahh kar wo kuch dair screen ko dakhta raha jaha kamran apna chance zaya karna ka bad naye game khalna ki tayari ma tha .



/ " Kya problem ha Kamran ?" Salar na Kamran ko kha .

" Wasa hi ..... new game la kar aya ho magr score ma bari mushkil ho rahi ha " Kamran na kha .

"Acha Mujy dikhayo .... " is na sofa sa uth kar remote control is ka hath sa la lya .

Kamran na dekha . Pehla 20 second ma Salar jis speed  par car doraaa ( chalana) raha tha is speed par Kamran na abi tak nahi dorayaaa tha .Jo track isa bohot mushkil lagg raha tha wo Salar ka samna bach-kana  chez mehsoos ho raha tha . 1 minute bad wo jis speed par car doraa raha tha is speed par Kamran ka lya dakhna mushkil tha .Jab-ka Salar is speed par be car pori control ka sath chala raha tha .
3 minute ka bad Kamran na pehli dfa Gari ( car) ko track sa nicha utar kar aik dhamaka ka sath tabah karta hova dekha .

Kamran na kuch muskrata hova Salar ko dekha ,

Car kyo tabahh hoi thi , wo jan gya tha , remote  Salar ki bajaye ab Tabel parr para tha our wo apni notebook uthaye khara hova tha .

Kamran na sarr utha kar is dekha " Bohot Boring Game ha " Salar na kaha Our Kamran ki tango ka uper sa jump lagata hova bahir chala gya .
Kamran 7 hinsoo par mush-tamil  score ko dekh kar heraan tha jo screen ki aik side pa show ho raha tha .

Kuch na samaj aana wala anadaz ma is na bahir wala darwaza ko dekha jis sa wo gayeb hova tha ....

continue....

No comments: